Har daud kissi muqaam ke taraf nahin hoti
Har mod ke saath zindagi nahin mudti.
Daud ki wajah aksar sirf daud hi hai,
Mod aayi, mud gaye; yun hi, masti mein.
Har yaad ki koi kahaani nahin hai,
Har dhadkan, dil ki awaaz nahin hai.
Yaad kabhi ek kashish, ek muskurahat hai,
Dil ki dhadkaan bas jeevan ki pehchaan hai.
-Madhuri
Har naam se pehchan nahin milti
Har kaam se naam nahin banthi
bas sunthi jao dil ki awaaz
Har dhadkan ek madhur kavita banegi